Saab -e- barat ki Fazilat
Hadees:
Irshad farmaya payare nabi ne ae "Aisha R.A" tum janti ho iss raat main kiya hota he araz ki ya Rasoolullah ap bataiye iss main kiya hota he, Pyare Nabi ne farmaya iss raat main ye hota hai ke Adam A.S ki ulad main se jo shakhs iss sall paida hoga aur jo iss saal mare ga uss ka marna aur paida hona likha jata hai,aur jo farishte in kamon par mukarr hain unn ko ko ittla di jati hai aur jitna jitna rizaq iss bars main makhlok ko mile ga sab likha jata he aur iss 15 shub Allah tala soorj doobte hi iss dunya ke asmaan par tashreef lata hai aur irshad farmate hain ke koi neek banda aisa he jo hum se bakshish mange to hum us ko baksh dain koi rizzq mange to hum uss ko rizaq dain,koi musibat ka mara dua kare to uss ki musibat door karain, iss tarh subha hone tak irshad farmate hain bass bandon ko chahiye ke iss raat main khoob ibadatt karain aur apne gunahon ki mafi mangen aur 15 tareekh ko raza rakhain aur Allah tala iss raat main apni mehrbani se beshumar bandon ko bakhshta he magar KAAFIR, MUSHRIK, KEENA rakhne wale, ko aur QATIL ko nahi bakhshta. "Mishkat Shreef"
15 Shuban "Shabe Barat" ki fazilat bebunyad nahi: shabe barat ke bare main ye kehna bilkul galat he ke iss ki koi fazilat hadees se sabit nahi, haqeeqat ye hai ke 10 sahaba ikram se ahadees marvi hain, jin main nabi pak ne iss raat ki fazilat bayaan farmai he, inn main se kuch hadees mubarkan sanad ke atbar se beshak kuch kamzoor hain, aur un hadeeson ke kamzoor hone ki wajh se kuch ulma ne ye keh diya ke iss raat ki fazilat be asal he, lekin hazraat muhaddseen aur fuqha ka ye fassla he ke agr ek rayat sanad ke atbar se kamzor ho, lekin uss ki taieed bohat see hadeeson se hojae to uss ki kamzori door ho jati he, aur tkriban 10 sahaba ikram se iss ki fizalat main rawayat mojood hain lihaza jiss raat ki fizzlat main 10 sahaba ikram se riwayat marvi hon uss ko be bunyad aur be assal kehna bill kull galat he.
Ghuniytutalbin main he: Bohat se kafan dhul kar tayar rakhe hote hain magr kafan pehanne waly baazaron main ghoom fir rahe hote hain, kafi log ase hote hain ke un ki qabren khudi hui tayaar hoti hoti hain magr un main dafan hone wale khushiyon main mast hote hain, bazz log hanss rahe hote hain, halan ke un ki mott ka waqt qareeb aa chuka hota hai, kai makanat ki tamiraat ka kaam pora hogya hota hai, magr sath hi un ke malkaan ki zindgi ka waqt bhi pora ho chuka hota hai. (Ghuniytutalbin) page 348)
Umul momineen hazarat Aisha Sidiqa R.A ne farmaya: ek raat maine hazoor pak ko apne bistar par ne paya to main hazoor pak ki talash main nikli to maine hazoor pak ko jannatul baki main paya ke asmaan ki tarf hazoor pak ne sir mubark uthaya huwa tha mujhe dekh kar hazoor pak ne farmaya "Allah tala nisf shuban ko asmane dunya par jalwa gar hota hai aur qabeely kalab ki bakriyon ke jiss qadar baal hain un se ziyadah logon ko bakhshta hai" "Tarmazi shreef"
Hazrat Abu Moosa Ashari R.A. se riwayat hai ke: Rasool-e-Akram S.A.W ne farmaya: Allah subhanhu wa tala shuban ki 15 shub main apni tamam makhlooq ki tarf nazre rehmat farma kar un ki magfirat farma dete hain, siway 2 shakhson ke:
1 shirk karne wala
2 kina parwar.
Hazrat Ali R.A se riwayat he: Nabi kareem S.A.W farmate hain jb shubaan ki 15 shub aa jae to uss raat ko qyaam karo "Namaz parho" aur din main roza rakho ke Allah tala gurob-e-aftab se asmane dunya par khaas tajjli farmata he ke he koi bakhshish chahne wala ke usse baksh don he koi rozi talab karne wala ke usse rozi don he koi beemari main mubtala to usse afiyat don he koi asa he koi asa aur ye uss waqt tak farmata he ke fajjar tuloa ho jae.
...........................................................................................................................................................................................................................................................
Website HASRAT LEARNING
https://hasratlearning.blogspot.com
https://hasratlearning.blogspot.com
*********************************************
Our Social media link
Our Social media link
HASRAT LEARNING follow in YouTube >>>>>
https://www.youtube.com/channel/UCbEf-K-XtTEHl5uzQKprBxQ
................................................................................
https://www.youtube.com/channel/UCbEf-K-XtTEHl5uzQKprBxQ
................................................................................
HASRAT LEARNING follow in Facebook >>>
https://www.facebook.com/HasratLearning/
..............................................................................
https://www.facebook.com/HasratLearning/
..............................................................................
HASRAT LEARNING follow in Twitter >>>>
https://mobile.twitter.com/HasratLearning
https://mobile.twitter.com/HasratLearning
............................................................................
HASRAT LEARNING follow in Instagram >>>>
https://www.instagram.com/hasratlearning1
https://www.instagram.com/hasratlearning1
.............................................................................
HASRAT LEARNING follow in LinkedIn >>>>>
https://www.linkedin.com/company/hasrat-learning
https://www.linkedin.com/company/hasrat-learning